Aaj phir unse samna hoga

ghazal

Aaj phir un ka samana hoga
kya pata us ke baad kya hoga

Aasmaan ro raha hai do din se
Aap ne kuch kaha suna hoga

Do qadam par sahi tera kucha
Ye bhi sadiyon ka faasala hoga

Ghar jalata hai raushani ke liye
Koi mujhasa bhi dil jala hoga !!

Kyun door ho kar bhi,dil ke paas rehte ho

Photobucket

Kyun door ho kar bhi
Koi dil ke paas rehta hai,

Dil ke paas ho kar bhi,
Kyun us ka intezaar rehta hai,

Yeh kaisa dard hai,
Jo meetha sa lagta hai,

Mehfil mein hoon magar,
Mujhe tanha sa lagta hai,

Kyon ham har pal
Unke khayalon mein khoye rehte hai,

Unke hi khayaalon se
Apni duniya sajaaye rehte hai,

Kyun lagta hai
Ham unke bina adhoore hai,

Mil jaaye agar woh
To saare sapne poore hai…

Socha nahi Acha bura

Ghazal,lyrics

Socha nahin achha bura dekha suna kuch bhi nahi,
Manga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahi,

Dekha tujhe socha tujhe chaha tujhe pujaa tujhe,
Meri khata meri wafaa teri khata kuch bhi nahi,

Jis par hamari aankh ne moti bichaye raat bhar,
Bheja wahi kaagaz use hamane likha kuch bhi nahi,

Ik shaam ki dahaliz par baithe rahe wo der tak,
Aankhon se ki baatein bahut munh se kaha kuch bhi nahi,

Do char din ki baat hai dil khaak mein so jayega,
Jab aag par kaagaz rakha baki bacha kuch bhi nahi,

Ehasaas ki khushbu kahan, aavaaz ke juganu kahan,
Khaamosh yaadon ke siva, ghar mein raha kuch bhi nahi…

Meri Chahat Ko Dekhoge To Laut Aaoge

Love shayari

Agar Jo Dil Ki Sunoge To Haar Jaooge,
Hum Jaisa Pyar Phir Kahan Se Laoge,
Jaan Dene Ki Baat To Har Koi Karta Hai,
Zindagi Bananewala Kaha Se Laaoge,
Jo Ek Nazar Dekhoge Humhe,
To Har Taraf Sirf Hum Hi Ko Paooge,
Yaqeen Apni Mohobbat Par Itna Hai Hamein,
Meri Chahat Ko Dekhoge To Laut Aaoge…

~* ?Milna ho to aise milo *~

Photobucket
?Milna ho to aise milo,
Ke judaa hone ki zaroorat na ho,
Kehna ho to kuch aise kaho,
Ke zubaan ko bhi izazat na ho,
Pyaar karo zindagi bhar ke liye,
Pal Do pal ki ye chahat na ho…

~*~ Kholke khidki chand ko hamara naam bata to do ~*~

chand ko dekhna

Meri chaahat ko tum Chaahe koi naam na do,
Magar apne dil mai hame rehne ki ijazat toh do…!

Dekho jab kabhi aaine mai tum apna chehra,
Yaad kar ke hamari koi baat muskura toh do…!

Milo jab kahin sare bazar mujh ko ek din toh,
Nazar milake hamse tum kuch labo se keh toh do…!

Raat ki tanahai mai neend tum ko kabhi na aaye toh,
Kholke khidki chaand ko hamara naam bataa toh do…..!!