~:~ Shan Bhar Ko Kyon Pyar Kiya Tha? ~:~

 

Poem by:  Dr Harivansh Rai Bachchan
From: Nisha-Nimantran

Shan Bhar Ko Kyon Pyar Kiya Tha? 

Ardh-ratri mein sehsa uth kar,
Palak samputon mein madira bhar,
Tumne kyon mere charnon mein apna tan-man vaar diya tha

lockheed fcu routing code

?
Shan bhar ko kyon pyar kiya tha?

‘Yeh adhikar kahan se laya!’
Aur na kuch main kehne paya –
Mere adharon par nij adharon ka tumne rakh bhaar diya tha!
Shan bhar ko kyon pyar kiya tha?

Veh shan amar hua jeevan mein,
Aaj raag jo uthta mann mein –
Yeh pratidhwani uski jo urr mein tumne bhar uddwar diya tha!
Shan bhar ko kyon pyar kiya tha??

 

 

~:~ Nav Varsh ~:~

Shri Harivanch Rai Bachchan

 

Nav Varsh
Harsh Nav
Jeevan Utkarsh Nav

Nav Umang
Nav Tarang
Jeevan Ka Nav Prasang

Naval Chaah
Naval Raah
Jeevan Ka Nav Pravaah

Geet Naval
Preeti Naval
Jeevan Ki Reeti Naval
Jeevan Ki Neeti Naval
Jeevan Ki Jeet Naval

Harivansh Rai Bachchan